Fatima Hashimi | Maula Mehdi aa jaye, Maula Mehdi aa jaye Deedar ki aakhri aas mai Deedar ki aakhri aas mai Khat likh raha hai ye khadeem tumhe Maula Mehdi aajaye, Maula Mehdi aajaye Kijye qabool aqa mera sallam Bas ek azadar hai mera naam Qabeel nahi janta hun magar kehta hun mai khud ko tumhara ghulam Kia hun se mujhe batlayiye Maula Mehdi aajaye, Maula Mehdi aajayiye Faryaad e aor istaghase huzur Sarkar tho sunte honge zarur Beechen khud bhi hai ghebat mai aap Kab hoga mola batadhe zahur Humko na ab or tadpayiye Mola Mehdi aa jayiye, Maula Mehdi aajayiye Be noor kab se mere nain hai Tanha azadaar e behren hai Kabaa ho ya ke ho Karbobala Sab aapke gham mai beechen hai Sarkar tashreef le aayiye Maula Mehdi aajayiye, Maula Mehdi aajayiye Lafzo se parda hata thi nahi Apna ta’aruf kara thi nahi Jab se gaye aap khamosh hai Aayat ma’ ani bata thi nahi Raaz e Alif laam samjhayiye Maula Mehdi aajayiye, Maula Mehdi aajayiye Tarteeb marbut ho baat se Zahir jalalat ho aayaat se Kehta hai zoq e talawat mera Likha jo Maula ne khud haat se Mujko wo quraan padhwayiye Maula Mehdi aajayiye, Maula Mehdi aajayiye Karni hai taskheer sham aap ko Lana hai haq ka nizaam aap ko A waris e zulfiqaar e Ali Lena hai jab intaqqam aapko Gazi ko bhi saat le aayiye Maula Mehdi aajayiye, Maula Mehdi aajayiye Hum jamkaraan or sehlaa gaye… Or ashko se apne arize likhe Girya kiya or namaze padhi Jho the jatan , bas mai sab karliye Har jah guzarish thi, aajayiye Maula Mehdi aajayiye, Maula Mehdi aajayiye Khat apna kartha hun is par tamam Hai mir bhi aap ka eik ghulaam Hai sibt e jafar ki bhi iltija Kije talab hume ya imam Ya aap tashreef le aayiye Muala Mehdi aajayiye, Maula Mehdi aajayiye |