Islamic Lyrics Forum › Forums › Submit Lyrics › meray aqa meray mola lyrics
- This topic has 0 replies, 1 voice, and was last updated 10 years, 4 months ago by haris ahmed.
Author | Posts |
---|---|
Author | Posts |
October 8, 2012 at 3:34 pm #391 | |
haris ahmed | MERAY AQA MERAY MOLA Meray aqa meray mola x4 Muhamad ur rasool ullah x4 Jahan mein un sa chera hai Na hai khanda jabein koi Abhi tak jan saki na auratein un sa hassen koi Nahi rakhi hai qudrat nai meray aqa qami tujh mein Jo chaha app nai maula wo rakha hai sabhi tujh mein Meray aqa meray mola x4 Muhamad ur rasool ullah x4 Badi ka daur tha har su jahalat ki ghataein thein Fasado zulm se charo tarf pheli hawaein thein Khuda ke hukum say na ashna makay ki basti Fasado jurm say charo taraf vehsatein barasti thein Khuda kay deen ko bachon ka aik khel samajtay thay Khuda ko chor kar har cheez ko mabood kehtay thay Wo apnay hath hi say patharoon kai boot banatay thay Uni kay smanay jhukte unhi ki hamd gatay thay Kisi ka naam uza tha kisi ko laad kehtay thay Hubul nami baray but ko buton ka baap kehtay thay Agar larki ki paydaish ka zikr ghar mein sun lete to us masoom ko zinda zameen mei dafan karte thay gharaz job hi burai thi sab un mein pai jatithi na thi sharm o haya ankhon mein ghar ghar beyhayai thi magar allah ne un par jab apna reham farmaya to abduullah kai ghar mein khuda ka ladla aya arab kay log us bache ka jab aizaz karte thay to abdul mtlib is qismat pe apni naaz karte the khuda kay deen ka phirbol bala hone wala tha muhamad say jahan mein phir ujala hone wala tha Meray aqa meray mola x4 Muhamad ur rasool ullah x4 Qada ko apnay hamlon say ghubar alood kardein gay Na aisa kar sakay to khun se sahra ko bhardein gay Bulandi ki tarf dahloun pe bijli ban ke jate hain Hamari pusht par naysay adu kay kun kay payasay hain Hamaray behtarin ghoray hawa ke saath chalet hain Dupatay auraton kay un kay chehron per lapakte hain Agar hum ban gai fatih to umra karne jaiein Humari jangein allah ki khatir ye dikhaein gay Agar tum dhat gay mademuqabil phir bhi bil akhir Muaziz hum banein gay jang kay shaulon ko bharka ker Meray aqa meray mola x4 Muhamad ur rasool ullah x4 Wa ahsana min kalam taraka tu ainon Wa ajmala min kalam talidin nisaon Khulikta mubara um min kuli ainin Wa inaka kad khulik ta kama tashao Jahan mein un sa chera hai Na hai khanda jabein koi Abhi tak jan saki na auratein un sa hassen koi Jahan mein un sa chera hai Na hai khanda jabein koi Abhi tak jan saki na auratein un sa hassen koi Nahi rakhi hai qudrat nai meray aqa qami tujh mein Jo chaha app nai maula wo rakha hai sabhi tujh mein Nahi rakhi hai qudrat nai meray aqa qami tujh mein Jo chaha app nai maula wo rakha hai sabhi tujh mein Meray aqa meray mola x4 Muhamad ur rasool ullah x4 Salalahu alaihi wasalam x4 |
You must be logged in to reply to this topic.