Aabroo-e Moo’mina
Aabroo-e moo’minaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Rahnumaa-e gumrahaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Ilm me behre rawaan Ahmad Raza Khan Qaadri
Deen me gowhar fashaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Hai arab ke aalimo ka mad’ha khwaa saara jahaa
Aur wo there mad’ha khwaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Deen ka dushman ho ya ho dosth sab ke waaste
Hai theri haq go-zabaa Ahmad Raza Khan Qaadri
There sadqe me khuda chaahe to paayenge ghulaam
Kal wahaa baaghe jinaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Aalimaane makka-o taiba ne lee thujh se sanad
Hai wo therey qadrawaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Kya sathaa sakthe hai thujh ko therey aadaa murshida
Haq hai thujh par meharbaan Ahmad Raza Khan Qaadri
Dekh kar jalwa ashiddaa alal kuffaar ka
Har adoo he be-zabaa Ahmad Raza Khan Qaadri
Aa chali thhee sheikh e najdee ke bayaabaa me bahaar
Bhej dee thu ne khazaan Ahmad Raza Khan Qaadri
Fath’ha dee haq ne thujhe aa’daa-e deen par daa’imaa
Thujh pe hai haq meharbaan Ahmad Raza Khan Qaadri
Aap ka haamid hai haamid sayyid e kounein ka
Hai ye theri iz’zo shaan Ahmad Raza Khan Qaadri
Muhiy e sunnath aur mujaddid is sadee ke aap hein
Ae imaam e mufthiyaan Ahmad Raza Khan Qaadri
Dey mubarakbaad un ko Qaadri Razavi Jameel
Jin ke murshid hein miyaa Ahmad Raza Khan Qaadri