Allah Salamat Rakkhe Milaad Manane Walon ko --4
Allahumma Salle Ala Sayyedina Mohammadin --4
---
Sarkar Ki ulfat se Imaan ko Jagaye Ja --2
Sub Ahle Mohabbat ko Deewana BanayeJa.
---
Aqa ne Rakha Roza Khud Apni Wiladat ka --2
Sunnat Hai Mohammed (Sallalahu Alaihi Wasallam) ki Is Din ko ManayeJa.
---
Touseef Nahi Mumkin us Fakhre Do Alaam ki --2
Naghme Hi Duroodoun kay aaj unke Sunaye Jaa.
---
Milaad ki Sa'at hai mil jayega jo maango --2
Ghar apna zara tu bhi jannat may banaye jaa.
---
unke rukhe e roshan ki tamseel ho kya mumkin --2
koi bhi nahi unsa yeh sub ko bataya jaa.
---
duniya ki mohabbat se is dil ko bachaye jaa --2
aaqa ki addaoun ko toh dil me basaye jaa .
---
apne ne do alam may sarkar sahara hai --2
Bus unki mohabbat se daarein banaye jaa.
---
Jibreel ki sunnat hai is din toh uda parcham --2
aaqa ki wiladat par jhandoun ko lagaye jaa.
---
isiya ki tere baqshish toh chahe agar ahmed --2
bus unki mohabbat ko seene may basaye jaa.
===