About this topic

  • Posted by GreenSufi 2 years ago. There are 1 post. The latest reply is from GreenSufi.

No tags yet.

  1. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar
    Jaan-o-dil Tum par fida, aie do jahan kay tajdaar.

    Mein akela aur masail zindagi kay baishumar,
    App hi kuch kijiye na, aie Shahe-aali-waqar.

    Yaad aata hai tawaffe Khana Kaaba mujhay,
    Aur lipatna Multazan say walihana bar bar.

    Sange aswad choom kar milta mujhay kaifo suroor,
    Chain pata deikh kar dil mustajabo mustajaar.

    Ya Khuda dikhla hateene pak Meezabo Maqam,
    Aur Safa Marwa mujhay behray Rasoole zeewaqar.

    Jaraha hai kaafila Taiba nagar roota hua,
    Mein raha jata hoon tanha aie Habib-e-kirdgar

    Jald phir Tum lo bula, aur Sabz Gumbad doh dikha,
    Hazari ki arzoo nay kar diya phir beqarar.

    Choom kar Khaqay Madina, jhoomta phirta tha mein,
    Yaad aatay hain Madinay kay mujh
    ay lailonahar.

    Ghumbade Khazra kay jalway aur woh iftarian,
    Yaad aati hai bohat Ramadan e Taiba ki bahar.

    Ya Rasoolallah. sun lijiye meri faryaad ko,
    Kon hai jo kay sunay Teray. siwa meri pukaar.

    Haal par meray karam ki eik nazar farmiye,
    Dil mera ghamgeen hai aie ghmzadoon kay Ghamgusar.

    Kafilay walo suno, yaad aaie to mera Salaam.
    Arz karna rotay rotay ho sakay to bar bar.

    Ghamzada yoon na hua hota Ubaid-e-Qadri
    Eik baras bhi dekhta agar Sabz Gunbad ki bahar.

RSS feed for this topic

Reply

You must log in to post.