Main sab se bura houn nigaahe karam ho
sar aapa khata houn nigaahe karam ho
mujhe maangna ka saleeka nahi hai jee han han nahi hai
magar maangta houn nigaahe karam ho
huzoor aap se aap ko maangta houn jee han maangta houn
fakeer ap ka houn nigaahe karam ho
tumhari hi nisbat hai sarmaya mera, hai sarmaya mera
main sirf aap ka houn nigaahe karam ho
mujhe apne qadmon me bulwa lo aaqa jee bulwa lo aaqa
karam shaahe wala nigaahe karam ho
atta kijiye haazri ka kareena han aaqa kareena
madinay chala houn nigaahe karam ho
sar aapa khata houn nigaahe karam ho....